Andar kahin abhi bachchi hoon main

Jaanti hoon ki badi ho gayi hoon main, lekin
Andar kahin, abhi bhi bachchi hoon main

Raat ke andhere se abhi bhi darti jaati hoon,
Bachchon ke saath maskari mein sab bhool jaati hoon,
Poorane doston ke liye aaj bhi machalti hoon main
Andar kahin, abhi bhi bachchi hoon main


Bado ke jaise baatein to kar leti hoon, par sab samaj nahi paati,
Raat ki neend jis gusse ko bhaga na paaye, woh pacha nahi paati,
Subah ki os jahan man ka mail dho de, abhi bhi usi zameen pe chalti hoon main
Andar kahin abhi bhi bachchi hoon main

टिप्पणियाँ

रंजन (Ranjan) ने कहा…
जानती हूँ की बड़ी हो गई हूं मैं, लेकिन
अंदर कहीं, अभी भी बच्ची हूँ मैं..

बहुत सुन्दर...
Anjana Dayal de Prewitt (Gudia) ने कहा…
:-) Ranjan abhi bhi koshish jaari hai...

इस ब्लॉग से लोकप्रिय पोस्ट

चल उठ, ज़िन्दगी, चलते हैं! -2

अब बस हुआ!!

मम्मी